Road Safety , Sadak Suraksha

Road Safety , Sadak Suraksha.

Road safety


Ham roj kisi na kisi kaam se kahi jane ke liye sadak ka istemal karte hi hain. Par sadak gadi ke aane jane tatha tej raftar ke liye jana jata hain. Kisi ko kahi jyaladi jana ho wo bhi apna gadi le kar to sadak ek uttam rasta hain.

Par sadak par thoda bhi laparwahi jaan lewa sabit ho sakta hain. Aisa nahi hain ki sadak par sirf kisi vehicle dwara hi durghatna hota hain. Jyadatar paidal chalne walon ko bhi is se hani ho jata hain. We bhi sadak durghatna ka shikar ho jate hain.

Hamesha satark aur sawdhan rah kar hi sadak durghatna se bacha ja sakta hain. Sadak par koi gadi chalana tatha sadak par paidal chalna. In kaamo ko karne ke liye sadak suraksha ki jankari rahna bahut jaruri hain.

Pure world me sadak durghatna se na jane kitne logo ki maut ho jati hain aur bahut se log zindagi bhar apang ho kar rah jate hain. Sharir kisi kaam ka nahi rah jata hain. Durghatna bahut hi dukhad hota hain. Is se hamesha bachao ki jarurat hain.

Par ham sadak suraksha road safety ka jankari hasil kar ke khud ko surakshit rakh sakte hain. Ye jankari bahut hi jaruri hain. Zindagi anmol hai aur iska hifajat har kisi ka kartabya hain. Sadak suraksha road safety ki jankari ham kahi se padh kar dekha kar ya sun kar hasil kar sakte hain.

Ek lamba experience bhi bahut jaruri hain. Dusron ki galti se khud ki galti bhi sudhari ja sakti hain. Ham yaha par sadak suraksha se sambandhit kuchh points par baat karenge.


Road Safety kya hain ?


Sadak par yatayat tatha sadak par hone wale durghatnao ka rok tham hi road safety kahlata hain. Road safety ki jarurat kyu padi? Kyu ki sadak par hone wale durghatnao se har roj lagbhag 1400 aadmi prabhawit hote hain.

Jisme lagbhag 400 aadmi sadak durghatna me mare jate hai. Hamare desh me 14 saal tak ke lagbhag 20 bachche iska shiakar hote hain. Agar road safety ke bare me jagrukta nahi phailaya jaye.

To iska tadad bahut hi jyada badh sakta hain. Jankari hi suraksha ko janm deta hain aur suraksha jiwan deta hain. Jis tarah saans lene ke liye hawa jaruri hai.

Usi tarah zinda rahne ke liye suraksha jaruri hain. Road par chalne se pahle sadak suraksha bahut jaruri hain.


Traffic Niyam


Jab bhi ham sadak par chalte hain. To traffic ki kuchh niyam hain. Jise follow karna bahut jaruri hain. Jaise ki gadi kis taraf chalaye. Gadi chalte samay speed limit ko kaise maintain kare.

Agar sadak par paidal chal rahe hain to kis taraf chalenge. Sadak par chalte samay hamesha speel limit ko follow kare. Speed 40km/hr me hi ho. Is se jyada speed achchha nahi hain.

Jab gadi kisi ghumao wali jagah se turn kar rahi ho to galti se bhi over take karne ki koshish na kare.
Overtake karte samay horn ka istemal kare aur hamesha aage chal rahi gadi se permission ka intejar kare.


Overtake right side se hi kare.
Agli gadi se pichhli gadi ka kam se kam 3 meters ka distance maintain kare.


3 seconds rule ka follow bhi kar sakte hain. Matlab agli gadi jis jagah par chal rahi hai. Us jagah par mann me hi mark kar de aur dhire dhire teen tak gine.

Agar teen second ke anar gadi us jagah tak pahuch jata hain. To Speed jyada hain. Yaha Speed kam karne ki jarurat hain.
Jis jagah se gadi turn karna ho waha par indicator ka upyog jarur kare. Is se pichhe chal rahe gadi ko pata chal jata hain ki aage chal raha gadi. Yaha se turn karegi.


Traffic rule ka upyog kare. Jab ttaffic light red ho jaye to apna gadi rok de. Jab tak traffic light green na ho tab tak green hone ka intejar kare. Green hone par hi gadi aage ki taraf chalaye.

Yellow light sanket hain ki ab tayyar ho jaye.


Rasta me jagah jagah traffic sambandhut sign board laga rahta hain. Sign board dekh kar hi gadi chalaye. Jaise ki residencial area me 10km/hr. school, hispital ya jaha dhwani se dikkat ho waha horn na bajaye.
Jab bhi gadi back kare to reverse alarm ya reverse horn ka upyog kare. Gadi reverse karte samay khalasi gadi ke bahar hona chahiye. Jo pass de kar gadi reverse kare.

Bina khalasi ke four wheeler na chalaye. Transport gadi me khalasi aniwarya ho jata hain.
Jab bhi gadi chalu kare to pahle gadi ke charo pahiye check jarur kar le. Ho sakta ho punchur ho ya koi janwar tyre ke paas ho.


Gadi chalu karte samay test drive jarur kare. Jis se gadi ka horn, break aadi check ho sake.


Seat belt ka upyog jarur kare. Tej gati se chalne wali gadi me seat belt aniwarya hain.


Two wheeler chalate samay crush helmet ka istemal kare.
Bina helmet bina shoes ke bike na chalaye.
Crush Helmet - Bike chalate samay jis helmet ka upyog karte hain. Wo crush helmet kahlata hain. Crush helmet hi kyu pahne. Crush helemt ka banawat is tarah ka hota hain ki jab bhi koi accident hota hai to sawar aage ki taraf pheka jata hain.

Sharir ka sab se najuk part aur jis jagah par chot lagne ka sambhawana jyada ho. Wo jagah sar hi hota hain. Crush helmet se sawar kuchh dur tak ghasir kar aage tak chala jata.

Chot helmet ko lagta hai. Jis se bahut bada durghatna se bach pate hain. Aisa nahi hain ki suraksha ka jitna bhi saman hain us se ham puri tarah se surakshit bach sakte hain.

Par bahut bada durghatna chhota jarur ho sakta hain. Road safety ka uddeshya jagrukta phailana hain. Oversmart ya laparwahi durghatna ke karan hain. Hamesha satark rahe.
Aksar dekha jata hain ki bahut se aadmi kisi ladies ko bike par baitha kar ride karte hain. To bahut se chijon ko najar andaj kar dete hain.

Jaise ki ladies ke saadi ka pallu ya odhni niche jhulta rahta hain. Kabhi kabhi ye chakka ke ring me phas kar sawar ko niche gira deta hain. Is se bahut badi durghatna bhi ho sakta hain.


Road safety ka dhyan rakh kar ham safe aur surakshit bike chala sakte hain.