Bangal Ka Kaala Jadoo - Jadoo Tona Ki Kahani

Bangal Ka Kaala Jadoo - Jadoo Tona Ki Kahani.

Log apne tarakki ke liye kya kuchh nahi karte hain. Har koi apne dukh se dukhi hain. Koi naukri na milne ke karan dukhi hain. To kisi ko apne ghar pariwar ka chinta hai. Insaan zindagi bhar kisi na kisi dukh se ghira rahta hain. Jab insaan kisi dukh se dukhi hota hain. To us se wapas nikalne ka rasta bhi khojta hain. Chahe wo rasta sahi ho ya galat.

Galat rasta bhi insaan ko sahi lagta hain. Par jab koi is me bahut dur tak nikal jata hain. Jab wapas aa pana munkin nahi rahta hain. To insaan ko sirf aur sirf pachhtawa hi haath lagta hain. Duniya me bahut se log apne tarakki ke liye jadoo tona ka sahara lete hain. Jo bilkul se hi galat hain. Jadoo tona ye sab sirf kahaniyon me hi achchhe lagte hain. Wastavik zindagi se iska koi sambandh nahi hota hain. Jadoo tona ke chakkar me ek baar koi phas jata hain. To phasta hi chala jata hain. Aaj main ek kahani likh raha hoon. Jiska naam hain bangal ka kaala jadoo.

Aise to log aksar jadoo tona ki kahani sunte hain. Par ek hakikat ghatna mere dost ke sath ghat gaya. Jadoo tona ka hakikat. Baat bahut pahle ki hain. Us waqt ham sabhi college me padhte the. Ghar se garib the. Sarkari school me padhai kiye aur kisi tarah college tak pahuche. Par ghar ki sthiti aisi nahi thi. Ki aur aage tak padh saku. Par ghar walo ka khwahish tha ki mera beta college me padhe. Padh likh kar koi achchha naukri pakad le.

Jis se ghar ki aarthik tangi khatm ho sake. Main apne dost ke sath ek jagah par padhai karta tha. Aur sath me sarkari naukri ka tayyari bhi karta tha. Wo jagah mere dost ka ghar tha. Waha ka shant mahoul hame achchha lagta tha. Jaha kahi bhi sarkari naukri ka aawedan nikalta ham use jarur bharte. Us jagah par exam dene bhi jate. Isi tarah ek baar Calcutta railway ka form nikla. Hamne use bhara aur pariksha dene bhi gaye.

Pahle ke jamane me kaha jata tha ki jo bhi bangal jata hain. Us par jadoo tona ka asar ho jata hain. Log kahte the ki bangal me kaala jadoo chalta hain. Waha ke log kaala jadoo jante hain. Ham bhi bangal railway ka exam dene ke liye pahuche the. Ham Calcutta pahuche aur exam de kar wapas aane lage. Jab train par baithe to ek kitab wala aaya. Apne hath me bahut sa kitab liye hue tha.

Kitab bechne wala jor jor se bol raha tha. Ki ye hain bangal ka kaala jadoo ka kitab. Is kitab se har kisi ka kast dur ho jayega. Ye bahut hi chamatkari kitab hain. Bangal ka kaala jadoo ka kitab. Agar kisi ko koi dukh hain to isme diye gaye mantr ko sidh kare. Isme naukri pane ka bhi tarka diya hua hain. Bas mantr ka jaap karna hain. Bangal ka kaala jadoo ka kitab kismat badalne wali kitab. Saste me bik rahi hain.

Main apne dost ke sath train me baitha hua tha. Bahut se log bangal ka kaala jadoo ka kitab kharid rahe the. Mujhe us me koi ruchi nahi dikhi. Main chup chap apne jagah par baitha hua tha. Tabhi mera dost us kitab wale se kitab ka daam puchha aur kitab kharid liya. Wo kitab ko padhne laga. Main bhi apne dost se bola ki yaar thoda kitab dikhana.

Bangal ka kaala jadoo ka kitab kaisa hota hain. Main apne dost se kitab le kar padhne laga. Abhi thoda padha hi tha ki mujhe us me likha hua samadhan bekar laga. Main apne dost ko kitab wapas de diya aur us se bola ki. Tum ye kitab bekar me kharide ho. Is kitab me jo mantron ko sidh karne ka tarika diya hain.

Wo bahut hi kathin hain. Ye bilkul bakwas kitab hai. Main use kitab wapas kar diya aur apne jagah par baith kar bahar ki taraf dekhne laga. Ham sabhi ghar bhi wapas aa gaye. Phir se padhai par dhyan dene lage. Ab result ka intejar tha.

Par afsoos ham dono me se kisi ka bhi result nahi aaya. Par ab agle exam ka tayyari karna tha. Wo apne ghar me tayyari karta to main apne ghar me. Ek din mujhe pata chala ki mera wo dost pagal ho gaya hain. Jo mere sath exam dene gaya tha. Main use dekhne ke liye uske ghar chala gaya. Jab uske ghar pahucha to dekha ki sach me mera dost pagal ho chuka hain.

Uske maa pita se mila unhone bhi bataya ki nahi pata kaise. Wo apna dimagi santulan kho chuka hain. Uske ghar wale bahut hi pareshan the. Kisi ko kuchh bhi samajh me nahi aa raha tha. Ki wo pagal kaise ho gaya. Mere bhi samajh me nahi aa raha tha. Par jab main uske maa pita se baat kiya to. Uske maa pita bole ki hamesha wo na jane koun si mantr bolta rahta hain. Kabhi kabhi koi mantr bolta rahta hain.

Hamare to kuchh bhi samajh me nahi aa raha hain. Main bhi soch me pad gaya ki ye koun si mantron ka uchcharan karta hain. Tabhi mere dimag me aaya. Ki jab wo bangal ka kaala jadoo ka kitab kharida tha. To us kitab me bhi bahut se mantr diye hue the.

Kahi ye jo mantr barbarata hain. Wo bangal ka kaala jadoo ke kitab ka mantr to nahi hain. Main uske pita ji se bola ki chacha ji. Iska kitab sab kaha hain. Chal kar dekha jaye kahi iska pagalpan ka raaj wahi to nahi hain. Main uske pita ji ke sath uske kitab ke paas pahucha. Jab kitab hata kar dekh to dekhta hoon ki bangal ka kaala jadoo ka kitab wahi tha. Maine us kitab ko khol kar dekha. Jis me ek jagah likha hua tha. Sarkari naukri pane ka aasan tarika.

Us me ek mantr diya hua tha aur use sidh karne ka tarika bhi diya hua tha. Par use sidh karne ka jo tarika diya hua tha. Wo har kisi ke bas ka baat nahi tha. Maine wo mantr padh kar uske pita ko sunaya. Jab uske pita mantr sune to bole ki haan yahi mantr mera beta bolte rahta hain. Ab mere bhi samajh me aa gaya ki wo pagal kaise hua hain. Maine sari baat uske pita se bata di. Ki wo bangal ka kaala jadoo ke chakkar me pagal hua hain. Uske pita ji bole ki ab is se chhutkara kaise milega.

Ab to mere bhi samajh me nahi aa raha tha. Ki ab is se chhutkara kaise milega. Main kuchh soch nahi paa raha tha ki ab kya kiya jaye. Par mera najar kitab par gaya. Jaha par kitab ke prakasan ka pata likha hua tha. Main uske pita ji se bola ki hame kitab ke prakasan ke paas jana hoga. Wo hi bata sakta hain ki kitab kis ne likha hain. Kitab me kahi bhi likhne wale ka naam nahi likha hua hain.

Ham dono kitab ke prakasan ke paas jane ka faisla kiye. Wo pata Calcutta ka tha. Isliye ham Calcutta chale gaye. Waha par pahuch kar sara baat bataya par prakasan ka malik bola ki. Mujhe nahi pata ye kitab koun chhapwata hain. Hame to ek baar thok ke hisab se order milta hain. Ham chhap kar de dete hain. Hame nahi pata ki ye kitab kisne chhapwai hain.

Ham us se bahut minnat kiye bole ki ye kisi ke zindagi aur maut ka sawal hain. Agar aap iske likhne wale ka pata bata digiyega. To ho sakta hain ki mere dost ka pagalpan khatm ho jaye. Bahut minnat karne ke baad usne kitab ko likhne wale ka pata bata diya.

Ham uske baad bangal ka kaala jadoo par kitab likhne wale lekhak ke paas gaye. Pahle to wo na nukar kiya par baad me bola. Ki main to kitab sirf manoranjan ke liye likhta hoon. Kitab me mantron ko sidh karne ka aisa aisa bidhi diya rahta hain. Jo kabhi ho hi nahi sakta hain.

Mai to paisa kamane ke liye ise likh diya. Agar koi ise padh kar pagal ho jaye to main kya kar sakta hoon. Ham dono ne un se bahut minnat kiye. Bole ki koi to tarika hoga jis se mere dost ka pagalpan khatm ho jaye. Ab uske bhi samajh me nahi aa raha tha ki pagalpan kaise dur kiya jaye. Phir usne kaha ki apne dost ko le kar aao. Dekhta hoon kuchh kar ke.

Lekin main koi guarantee nahi leta hoon. Ki main tumhare dost ka pagalpan dur kar dunga. Ham dono raji ho gaye. Jaisa ki usne kaha tha. Jo samay wo diya tha ham dono ne use le kar Calcutta chale gaye. Jab uske paas apne dost ko le kar gaye.

To wo lekhak mere dost ka jhar phook shuru kiya. Lagbhag ek saptah tak jhar phook karta raha. Mere dost ka halat me bhi sudhar hone laga aur uska pagalpan dur ho gaya. Jab mera dost thik ho gaya. To bangal ka kaala jadoo par kitab likhne wala lekhak bola ki. Kabhi bhi bhool se bhi jadoo tona par bishwash nahi karna chahiye.

Kabhi bhi ise sach nahi manana chahiye. Kismat achchha tha jo thik ho gaye. Nahi to puri zindagi pagal bane rahte. Main apne dost ko le kar wapas apne ghar chala aaya. Mujhe ab bhi bangal ka kaala jadoo ke lekhak ki baat yaad hain. Aaj main ek bank me clerk ka kaam karta hoon.

Mera dost apna businesses chalata hain. Uski zindagi bhi achchhe se gujar rahi hain. Par ab wo kabhi bhi jadoo tone par bishwash nahi karta hain.