Ek Tha Kutta , Hindi Story

Ek Tha Kutta , Hindi Story.

Bahut pahle ki baat hain. Kisi gaon me bahut se kutte raha karte the. We sabhi kutte itne wafadar the ki. Koi chor ya dakait kabhi bhi gaon me aane ki himmat nahi karte the. Chor ya dakait sochte the ki agar gaon me chori karne gaye. To kutton ka samuh use kaat lega ya tukre tukre kar denge. Isi darr se koi chor gaon me jane se darta tha.

Ek baar kuchh dakuon ka samuh gaon me dakaiti karne ka himmat kiya. Daku raat ke andhere me gaon ke andar chala aaya. Raat ke samay sabhi gaonwale nind se so rahe the. Par gaon me kutton ka tadad bahut hi jyada tha. Jab kutton ko pata chala ki gaon me dakait aa chuke hain. To we sabhi ek jhund bana kar dakaiton par toot pade.

Kutton ka samuh itna majbut tha. Ki daku uska kuchh bhi nahi bigar paye. Raat ke samay kutte itna jor jor se bolne lage. Ki gaon walon ko pata chal gaya ki gaon me koi aaya hain. Ho sakta hain dakait ho. Gaon wale bhala , teer , kaman le kar apne apne gharon se bahar nikle.

Gaon walon ka tayyari dekh kar daku itna darr gaye ki unhe bhagna pada. Dakun ko bhagne me hi bhalai najar aaya. Kisi tarah daku apna jaan bacha kar bhag sake. Nahi to dakaiti ke chakkar me sabhi daku mare jate. Kisi ke hath kuchh nahi lagta.

Daku khet khalihan jungle ke raste bhagne lage. Gaon walon ko bhi kutton par bishwash tha. Ki kutte daku se unki raksha karte hain. Kabhi bhi gaon me koi sankat nahi aa sakta hain. Kutton ka samuh bhi bahut tagda tha. Bahut saal tak kisi daku ya chor ki himmat nahi hui ki gaon me chori ya dakaiti kare. Gaon ke logo ka jiwan bhi khushi khushi bit raha tha.

Dhani log dhani bante chale gaye. Gaon me bahut se dhanwan log rahte the. Wo ek dhani gaon tha. Gaon ke logo ke paas rupiya paisa bhi bahut tha. Par kisi chor ya dakait ki himmat nahi thi ki kisi ke ghar me chori kar sake. Bahut saal ke baad ek dakuon ka samuh socha ki is gaon me dakaiti kaise kiya jaye.

Kisi ki himmat nahi hoti hain ki gaon me dakaiti kar sake. Daku jante the ki gaon ki hifajat kutte karte hain. Jab tak gaon ke kutte hain. Tab tak gaon me dakaiti kar pana namunkin hain. Dakuon ki najar gaon walon ke dhan daulat par tha. Daku kisi bhi tarah se gaon walon ke rupiye paise lootna chah raha tha. Par koi upaye nahi sujh raha tha. Ki gaon ke andar sendh kaise lagaya jaye.

Kutton ka darr har daku ke andar tha. Jab tak kutton ka samuh gaon ke andar hain. Tab tak gaon me dakaiti nahi ho sakta hain. Kutton ko gaon se bahar bhi nahi nikala ja sakta hain. Agar koi dakaiti karne gaon me jata hain. To kutte use chir phar kar rakh denge. Daku ko is baat ka darr tha. Par unki najar hamesha gaon walon ke dhan daulat par raha.

Daku kisi bhi haal me gaon ke andar dakaiti karna chah rahe the. Par koi upay nahi sujh raha tha. Ek din dakuon ne baithka bulaya. Aur is baat par charcha kiye ki gaon ke andar dakaiti kaise kiye jaye. Kisi ke paas koi upay hain to bataye. Har daku ab upay khojne laga. Ki kaise gaon me dakaiti kiya jaye. Kaise gaon ko loota jaye. Daku aaram se gaon me dakaiti bhi kar le aur kutte uska kuchh bhi nahi bigar paye.

Bahut der tak is baat par soch vichar chalta raha. Dakuon ka sardar bola ki ek upay hain. Jis se bahut hi aaram se gaon ke andar dakaiti kiya ja sakta hain. Par upay thoda lamba hain. Hame kuchh lambe dino tak intejar karna padega. Daku bole ki koun sa upay hain. To daku ka sardar bola ki hame kutton ko apne me milana padega.

Un se dosti karni padegi. Unhe bishwash dilana padega ki ham unke apne hain. Ham hi unka achchhi tarah se dekh bhal karte hain. Dakuon ke sardar ka baat sun kar. Any daku bole ki ye kaam ham kaise kar sakte hain. To sardar bola ki ab ham raat ke andhere me gaon me dakaiti karne nahi jayenge. Balki kutton ko khana khilane jayenge.

Gaon ke kutton ko achchha achchha khana khilayenge. Pahle unhe bishwash dila denge ki ham unka bhala chah rahe hain. Jab ham apne maksad me kamiyab ho jayenge to. Bahut hi aasani se dakaiti bhi kar sakte hain. Apne sardar ki baat sun kar anya daku uski baat par sahmat ho gaye. Ab dakuon ka mukhya uddeshya ban gaya ki. Gaon ke kutton se dosti kiya jaye.

Raat ke samay daku gaon me aane lage. Jab sab koi so jata to daku raat ke andhere me gaon me aate. Aur kutton ko achchha achchha khana khila kar chale jate. Kutte bhi dakuon ki is sewa se khush rahne lage. Daku kabhi bhi gaon me dakaiti karne ke uddeshya se nahi aate. Balki kutton ko achchha khana khilate. Roj mansh haddi aadi khane ko dete. Sabhi kutte bahut hi chao se khate. Par un kutton me se ek tha kutta.

Jo dakuon ki is chal ko samajh chuka tha. Wo jaan chuka tha ki daku unhe achchha achchha khana kyu khilate hain. Koi matlab jarur hain. Wo jaan chuka tha ki daku gaon me dakaiti karna chah raha hain. Wo kutta apne anya sathiyon se kahta ki koi na koi matlab jarur hain. Dakuon ka koi na koi chal jarur hain. Tabhi wo hame achchha achchha khana khilata hain. Agar koi matlab nahi rahta to wo bhala hame kyu khana khila raha hain.

Us kutta ki baat sun kar anya kutta bolta. Tum bhi kaisi bahki bahki baat kar rahe ho. Agar dakuon ko gaon me dakaiti hi karni rahti to. Apne sath asla barood late. Par daku to khana le kar aate hain. Wo bhi achchha achchha khana. Gaon walon ki tarah nahi. Subah ka bacha hua khana raat me hame khana padta. Aur raat ka bacha hua khana subah hamare aage daal dete.

Daku hamare liye taza aur hamare mann ka khana le kar aate hain. Hame jo khana pasand hain ham wahi khana khate hain. Kisi ka bacha aur pheka hua khana nahi. Daku hain to kya hua we hamara kitna dhyan rakhte hain. Wo bechara kutta unhe bahut samjhaya par koi kutta samajhna hi nahi chah raha tha.

Ek akele kutta kya kar sakta tha. Wo anya kutton ko samjha hi sakta tha. Par wo kutta dakuon ka diya hua khana nahi khata. Wo to gaon ka wafadar tha. Gaon me jo bhi sankat aaye uska samna karna chah raha tha. Daku bhi bahut hoshiyar the.

Daku kutton ko achchha achchha khana khilate. Kuchh din tak aisa hi chalta raha. Kutte bahut hi saoukh se dakuon ka diya hua khana khate. Kuchh dino ke baad kutte dakuon me itna hil mil gaye ki unki dosti ho gai. Ab jab bhi raat ke samay ekant me daku aate. To kutton ka jhund dakuon ke samane dum hilane lagte. Dakuon ke aage pichhe rahte.

Daku bahut hi aasani se kutton ko khana khila kar chale jate. Ab kutton aur dakuon me bahut achchhi dosti bhi ho gai. Ek din dakuon ka sardar bola. Lagta hain hamara maksad pura ho gaya. Ab to aisa lagta hain ki kutte gaon walon se jyada ham par bishwash karne lage hain.

Ab kutte hamara kuchh bhi nahi bigar sakte hain. Aaj wo din aa gaya hai jab ham bahut hi aasani se gaon walon ke gharon me tabahi aur dakaiti kar sakte hain. Gaon walon ko jis par sab se jyada bishwash tha. Ab wo hamare gulam ban chuke hain. Gaon walon ko apne kutton par bahut naaj tha. We yahi sochte the ki jab tak gaon ke kutte gaon ki hifajat kar rahe hain.

Tab tak koi bhi gaon me dakaiti nahi kar sakta hain. Par ab kutte hamare wafadar hain. Hamne gaon walon ka chakrview tod diya hain. Ab pari hamari hain. Hame gaon me dakaiti karni hain. Dakuon ne ek khatarnak yojana banaya aur gaon me dakaiti ke liye aa gaye. Jab raat ka andhera ghir gaya.

Charon taraf sannata pasar gaya aur gaon ke sabhi log gahri nind me so gaye. To dakuon ka giroh gaon me aaya. Unhone kutton ko achchha achchha khana khilaya. Khana kha kar kutte aalas me aa gaye. Par ek kutta jo wafadar tha.

Wo dakuon ki harkat dekh raha tha. Daku kutton ko bhar pet khana khila kar gaon ke andar aa gaye. Dakuon ka ek bada sa giroh gaon me aa chuka tha. Jab wo kutta jaan gaya. Ki aaj daku gaon me dakaiti karenge. To wo dakuon ko dekh kar bhokne laga. Kutta jor jor se bhokne laga.

Kutta ke bhokne ki aawaj sun kar gaon ke log jag gaye. Par gaon ke log soche ki ye akela kutta itni raat gaye kyu bhok raha hain. Agar gaon me chor ya dakait aata to sabhi kutte mil kar bhokte. Ye akela kutta itni raat ko kyu bhok raha hain. Lagta hain kutta pagal ho gaya hain. Tabhi raat ke samay bhok bhok kar hamari nind barbad kar raha hain. Gaon wale soche ki kutta jarur pagal ho gaya hain.

Ye soch kar gaon wale phir se gahri nind me so gaye. Daku jante the ki akela kutta ki baat koi nahi manega. Daku bahut hi aasani se gaon ke gharon me ghus gaye aur dakaiti karne lage. Akela kutta bhokta raha. Par bahut der ho chuki thi. Daku gaon me maar kaat shuru kar diye.

Gaon walon ko bhanak bhi nahi laga ki gaon me dakait aa chuke hain. Isliye we pahle se tayyar nahi the. Par dakuon ka bada sa giroh puri tayyari ke sath aaya tha. Gaon ke har ghar ko lootne lage. Jo bhi uska virodh karte daku use maar dete. Puri raat daku gaon me dakaiti kiye. Gaon walon ka maar kaat sari raat chalta raha.

Gaon ka ek ek dhan daku loot kar chal diye. Kabhi bahut hi dhanwan gaon bilkul kangal ho gaya. Raat bhar wo bechara akela kutta bhokta raha. Par wo akela utni badi dakuon ke giroh se samna nahi kar sakta tha. Ek tha kutta jo dakuon ke chal ko jaan chuka tha. Wo hi ek tha kutta jo anya kutton se baar baar kahta ki.

In dakuon ke chal ko samjho. Aakhir kaar bina matlab ka ye hame kyu achchha achchha khana khilata hain. Wo ek tha kutta jo aane wale samay ko bhap chuka tha. Dakuon ka giron bahuton ka laash gira kar. Aur gaon ko puri tarah se loot kar chala gaya. Gaon bilkul kangal ho chuka tha. Gaon walon ko bhi dakuon ke chal ka pata nahi tha.

Par ek tha kutta jo sari raat bhokta raha. Uske bhokne ki aawaj sun kar gaon wale hi kah rahe the. Ki ye kutta pagal ho gaya hain. Par wo ek tha kutta jo gaon walon ka wafadar bana hua tha. Baki ke kutte to dakuon ke diye hue khana kha kar chain ki nind so gaye. Par akela kutta kar bhi kya sakta tha.